ba-vasf-e-shauq  bhī  dil  kā  kahā  nahīñ  karte
faroġh-e-qāmat-o-ruḳh  kī  sanā  nahīñ  karte
shikast-e-ahd-e-sitam  par  yaqīn  rakhte  haiñ
ham  intihā-e-sitam  kā  gilā  nahīñ  karte
kuchh  is  tarah  se  luTī  hai  matā-e-dīda-o-dil
ki  ab  kisī  se  bhī  zikr-e-vafā  nahīñ  karte
isī  liye  haiñ  sazāvār-e-jaur-e-barq-e-sitam
ki  haqq-e-ḳhidmat-e-gulchīñ  adā  nahīñ  karte
mazāq-e-kohkanī  ho  ki  dasht-paimā.ī
jinheñ  tumhārī  talab  ho  vo  kyā  nahīñ  karte
vo  āshnā-e-ġham-e-kā.ināt  kyā  hoñge
jo  ḳhud  ko  aap  kā  dard-āshnā  nahīñ  karte
ġham-e-habīb  ġham-e-zindagī  ġham-e-daurāñ
kisī  maqām  pe  ham  jī  burā  nahīñ  karte