kyā  kyā  mohabbatoñ  ke  zamāne  badal  ga.e
ab  tum  kabhī  mile  ho  to  aañsū  nikal  ga.e
fart-e-ġham-e-havādis-e-daurāñ  ke  bāvajūd
jab  bhī  tire  dayār  se  guzre  machal  ga.e
maiñ  nukta-chīñ  nahīñ  huuñ  magar  ye  batā.iye
vo  kaun  the  jo  hañs  ke  guloñ  ko  masal  ga.e
kuchh  dast-e-gul-farosh  meñ  sañvlā  ke  rah  ga.e
kuchh  bāġhbāñ  kī  barq-navāzī  se  jal  ga.e
tum  ne  hameñ  fareb-e-qayādat  diyā  to  hai
lekin  kabhī  huā  hai  ki  tūfān  Tal  ga.e
ik  vo  bhī  the  jo  bah  ga.e  maujoñ  ke  saath  saath
ik  ham  bhī  haiñ  jo  khā  ke  thapeḌe  sambhal  ga.e