Nazish Partap Gadhi

yun log chaunk chaunk kar ungli uThae hain

Nazish Partap Gadhi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1924-1984

yuuñ log chauñk chauñk kar uñglī uThā.e haiñ

jaise ham aaj pahle-pahal muskurā.e haiñ

aksar khulī fazāoñ meñ bhī sansanā.e haiñ

ham par hamāre ghar ne vo patthar chalā.e haiñ

ai mauj-e-gul idhar abhī ruḳh na kījiyo

kuchh log taaza taaza bayābāñ meñ aa.e haiñ

mahrūmiyoñ ke zahr se ham kab ke mar chuke

ye to ab apne jism lāsha uThā.e haiñ

haañ ham ko e'tirāf hai is ki ziist ko

ādāb ham ne jurm-e-vafā ke sikhā.e haiñ

dauḌe haiñ log sañg-e-taġhāful liye hue

ham jab bhī apne shahr ke nazdīk aa.e haiñ

fursat kahāñ nasīb qayām-o-qarār

ham log vaqt-e-shām daraḳhtoñ ke saa.e haiñ

is darja bhiiḌ itnī ghuTan hai ki al-amāñ

yādoñ shahr chhoḌ ke ham bhaag aa.e haiñ

vīrāna-e-ḳhayāl vahshat na kam huī

hālāñki baat baat pe ham muskurā.e haiñ

chehre pe paḌ rahī hai tirī be-ruḳhī dhuup

siine meñ har taraf tirī yādoñ ke saa.e haiñ

raftār-e-zindagī hai ki māñge hai bijliyāñ

ham haiñ ki be-hisī ko gale se lagā.e haiñ

yāroñ ko haal vādi-e-ġhurbat kyā likheñ

mahsūs ho rahā hai ham apne ghar aa.e haiñ

zabt-e-ġham-e-hayāt bhī jin ko na sakā

'nāzish' vo ashk ham ne ġhazal meñ chhupā.e haiñ

Top Urdushayar.com