kis  kī  ye  siyāsat  hai  kis  kī  haiñ  ye  tadbīreñ
rahzanoñ  ne  paa.ī  haiñ  rahbaroñ  kī  taqdīreñ
mere  ḳhvāb-e-vahshat  kī  jaane  kyā  hoñ  ta.abīreñ
daar  hai  na  zindāñ  hai  tauq  hai  na  zanjīreñ
aap  kī  amānat  haiñ  aap  hī  miTā  diije
ye  nuqūsh  ulfat  ke  ye  vafā  kī  tahrīreñ
kah  rahā  hai  sadiyoñ  se  taaj  kā  hasīñ  chehra
fan  agar  mukammal  ho  boltī  haiñ  tasvīreñ
log  jaane  kyuuñ  us  ko  kah  rahe  haiñ  dīvāna
vo  to  apne  ḳhvāboñ  kī  DhūñDhtā  hai  ta.abīreñ
luuT  leñ  na  farzāne  azmat-e-junūñ  'sumbul'
thak  ga.e  haiñ  dīvāne  so  ga.ī  haiñ  zanjīreñ