maiñ  bikhar  na  jā.ūñ  varaq  varaq  mujhe  tāq-e-dil  meñ  sajā.iye
mirā  harf  harf  hai  be-bahā  mujhe  is  tarah  na  miTā.iye
hai  kudūratoñ  ke  hisār  meñ  ye  mohabbatoñ  kā  hasīñ  nagar
ye  dayār-e-āb-e-hayāt  hai  ise  sam-kada  na  banā.iye
koī  aks  tak  na  Thahar  sakā  mirī  chashm-e-fikr-o-ḳhayāl  meñ
abhī  ajnabī  se  haiñ  ḳhāl-o-ḳhad  mujhe  aa.ina  na  dikhā.iye
pas-e-zulm  aap  kī  baḳhshisheñ  ye  ināyateñ  ye  saḳhvāteñ
koī  maañg  baiThe  na  ḳhūñ-bahā  ye  lahū  ke  daaġh  chhupā.iye
ho  diloñ  meñ  husn-e-qalandarī  ho  zabāñ  pe  na.ara-e-sarmadī
jo  hilā  de  taḳht-e-sikandarī  vahī  kaj-kulāhī  dikhā.iye
hai  ḳhizāñ  kī  zad  pe  abhī  talak  ruḳh-e-'sumbul'  dil-e-yāsmīñ
abhī  intizār  kā  vaqt  hai  abhī  jashn-e-gul  na  manā.iye