Kaif Azimabadi

nafas nafas mein hun ek bu-e-sad-gulab liye

Kaif Azimabadi

Patna, Bihar, India

1937

nafas nafas meñ huuñ ik bū-e-sad-gulāb liye

maiñ jāgtā huuñ nigāhoñ meñ tere ḳhvāb liye

hamāre ahd ke logoñ ko kyā huā yaaro

vo rahe haiñ magar ret sarāb liye

maiñ bhuul saktā nahīñ hasrat-e-nazar us

vo ek shaḳhs jo guzrā hai iztirāb liye

udaas raat tārīkiyoñ ne chheḌā hai

ab aa bhī jaao nigāhoñ meñ māhtāb liye

ye chilchilātī huī dhuup jal rahā hai badan

guzar rahī hai yūñhī hasrat-e-sahāb liye

Top Urdushayar.com