ḳhush-fahmī-e-hunar  ne  sambhalne  nahīñ  diyā
mujh  ko  mirī  anā  hī  ne  phalne  nahīñ  diyā
chāhā  na.e  se  rītī-rivājoñ  meñ  maiñ  Dhalūñ
lekin  rivāyatoñ  ne  hī  Dhalne  nahīñ  diyā
ek  ek  shai  badaltī  ga.ī  mere  ās-pās
hālāt  ne  mujhe  hī  badalne  nahīñ  diyā
chalnā  thā  saath  saath  hameñ  umr-bhar  magar
nā-pā.edār  umr  ne  chalne  nahīñ  diyā
dil  mai-kade  kī  samt  chalā  thā  magar  use
is  rāste  pe  aql  ne  chalne  nahīñ  diyā
anjām  aarzū  kā  burā  hai  bas  is  liye
dil  meñ  kabhī  charāġh  ye  jalne  nahīñ  diyā
'darvesh'  be-qarār  rahā  dil  tamām-umr
mauqa  sukūñ  kā  ek  bhī  pal  ne  nahīñ  diyā