dard  auroñ  kā  dil  meñ  gar  rakhiye
be-ġharaz  ho  ke  umr-bhar  rakhiye
ho  hī  jā.eñgī  mushkileñ  āsān
aql  sā  ek  rāhbar  rakhiye
paañv  Thahreñ  ḳhayāl  chalte  raheñ
ek  aisā  bhī  to  safar  rakhiye
us  ke  dam  se  hai  aabrū  kā  vajūd
apne  kirdār  par  nazar  rakhiye
ho  ishāra  ki  bah  sake  na  havā
aañkh  meñ  itnā  to  asar  rakhiye
dostī  meñ  hai  shart  ye  'darvesh'
zikr  maiñ  tū  kā  taaq  par  rakhiye