jab  mohabbat  kā  kisī  shai  pe  asar  ho  jaa.e
ek  vīrān  makāñ  boltā  ghar  ho  jaa.e
maiñ  huuñ  sūraj-mukhī  tū  merā  hai  dilbar  sūraj
tū  jidhar  jaa.e  mirā  ruḳh  bhī  udhar  ho  jaa.e
ranj-o-ġham  aish-o-ḳhushī  jis  ke  liye  ek  hī  hoñ
umr  us  shaḳhs  kī  shāhoñ  sī  basar  ho  jaa.e
jo  bhī  dukh  dard  musībat  kā  piye  vish  hañs  kar
kyuuñ  na  suqrāt  kī  sūrat  vo  amar  ho  jaa.e
lauT  aao  jo  kabhī  raam  kī  sūrat  tum  to
man  kā  sunsān  avadh  diip  nagar  ho  jaa.e
khā  ke  patthar  bhī  jo  muskān  bikhere  har-sū
bāġh-e-ālam  kā  vo  phaldār  shajar  ho  jaa.e
ham  ne  jaanā  hai  yahī  aa  ke  jahāñ  meñ  'darvesh'
honā  chāhe  jo  na  hargiz  vo  bashar  ho  jaa.e