Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

dilkashi nam ko bhi aalam-e-imkan mein nahin

Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

dilkashī naam ko bhī ālam-e-imkāñ meñ nahīñ
apne matlab kā koī phuul gulistāñ meñ nahīñ
va.ada-e-vasl pe khiñchtā huā haañ kā lahja
ek andāz hai kahne kā tire haañ meñ nahīñ
aap kahte haiñ ki taqdīr kī gardish meñ rahe
māntā huuñ ki ye dil gesu-e-pechāñ meñ nahīñ
bas kisī kā nahīñ sayyād ḳhatā kyā terī
āb-o-dāna mirī qismat kā gulistāñ meñ nahīñ
ḳhaak hone se banā chashm-e-falak kā surma
ḳhāksārī jo nahīñ ḳhaak bhī insāñ meñ nahīñ
naqsh-e-tauhīd hai har naqsh-e-jabīn-e-sajda
kahīñ ka.abe kā to patthar dar-e-jānāñ meñ nahīñ
pahle hī lauT thā parvāna tirī mahfil par
ab ye sunte haiñ ki bulbul bhī gulistāñ meñ nahīñ
pāk-bāzī kī taraf jab se jhuke haiñ 'kaifī'
bāda-noshī kā mazā mahfil-e-rindāñ meñ nahīñ
Top Urdushayar.com