Shabbeer Ahmad Shad

miTTi ka jism aur saf-e-moatabar mein hai

Shabbeer Ahmad Shad

Bhiwandi, Maharashtra, India

1951
miTTī kā jism aur saf-e-mo'atabar meñ hai
kitnā baḌā kamāl kaf-e-kūza-gar meñ hai
aisī havas chhipī huī qalb-e-bashar meñ hai
ghar meñ haiñ aur vus.at-e-duniyā nazar meñ hai
shauq-e-suḳhan-varī ko miTātā maiñ kis tarah
ye to rachī-basī mire qalb-o-jigar meñ hai
mil jaa.e be-qarār ko lutf-e-sukūn-e-dil
aisī to bas misāl ḳhudā hī ke ghar meñ hai
tum ko tumhārī manzil-e-maqsūd mil ga.ī
apnā to kārvāñ abhī gard-e-safar meñ hai
pahnūñ maiñ kaise atlas-o-kamḳhvāb ke libās
sūraj ġhurūb hone kā manzar nazar meñ hai
chhū legā 'shād' tū bhī kisī roz āsmāñ
vo azm aur vo josh tire bāl-o-par meñ hai
Top Urdushayar.com