Shabbeer Ahmad Shad

zarurat hai kisi bhi KHwab ki tabir se pahle

Shabbeer Ahmad Shad

Bhiwandi, Maharashtra, India

1951
zarūrat hai kisī bhī ḳhvāb kī ta.abīr se pahle
banā lo zehn meñ naqsha koī ta.amīr se pahle
azal se āshnā hai dil tire jalvoñ se ai hamdam
tasavvur meñ tirī tasvīr thī tasvīr se pahle
baḌī koshish kare insān hāsil kuchh nahīñ hotā
milā hai vaqt se pahle na kuchh taqdīr se pahle
nasheman barq kī zad par banānā chāhtā huuñ maiñ
tasalsul hai mirā qaa.em har ik ta.amīr se pahle
na do zahmat mire mahbūb nāzuk haath ko apne
maiñ zaḳhmī huuñ adā-e-nāz kī shamshīr se pahle
yahāñ Duubī huī thī ādamiyat ghup añdheroñ meñ
jahālat kā añdherā thā tirī tanvīr se pahle
kisī ke naqsh-e-pā ko ham banā leñ rahnumā apnā
koī ġhālib na ho paayā janāb-e-'mīr' se pahle
zabān-e-'shād' par aatā hai terā naam ai ḳhāliq
har ik āġhāz se pahle har ik tahrīr se pahle
Top Urdushayar.com