Asghar Abid

sim-tan gul-ruKHon ki basti hai

Asghar Abid

1952
sīm-tan gul-ruḳhoñ kī bastī hai
ye badaltī rutoñ kī bastī hai
kaun samjhe sukūt kī bāteñ
shahar ḳhāmoshiyoñ kī bastī hai
ye lakīreñ ġhamoñ ke raste haiñ
ye hathelī dukhoñ kī bastī hai
zindagī tak zakāt Thahrā dī
ye mere rāziqoñ kī bastī hai
āsmāñ kī tarah hai saath koī
hijr bhī qurbatoñ kī bastī hai
vo talātum-shi.ār kyā jaane
jhiil bhī pāniyoñ kī bastī hai
aql tafrīq kā tamāshā hai
āgahī fāsloñ kī bastī hai
jism pāband-e-gul sahī 'ābid'
dil magar vahshatoñ kī bastī hai
Top Urdushayar.com