Nau Bahar Sabir

TuTta hun kabhi juDta hun main

Nau Bahar Sabir

Hisar, Haryana, India

1947

TūTtā huuñ kabhī juḌtā huuñ maiñ

jāgtī aañkh sapnā huuñ maiñ

apnī sūrat ko tarastā huuñ maiñ

aa.ina DhūñDne niklā huuñ maiñ

kabhī pinhāñ kabhī paidā huuñ maiñ

kis fusūñ-gar tamāshā huuñ maiñ

ḳhalish-e-ḳhār kabhī nik.hat-e-gul

har-nafas rañg badaltā huuñ maiñ

dekhiye kis nazar paḌtī hai

kab se showcase meñ rakkhā huuñ maiñ

koī tiryāk nahīñ merā ilaaj

kushta-e-zahr-e-tamannā huuñ maiñ

kabhī uThte haiñ mire daam bahut

kabhī be-mol bhī mahñgā huuñ maiñ

koī pahchāne to kyā pahchāne

kabhī sūrat kabhī saayā huuñ maiñ

ātish-e-ġham tamāzat ke nisār

jitnā taptā huuñ nikhartā huuñ maiñ

koī jaada hai na manzil 'sābir'

apne gird bhaTaktā huuñ maiñ

Top Urdushayar.com