maiñ  jis  kā  muntazir  huuñ  vo  manzar  pukār  le
shāyad  nikal  ke  jism  se  bāhar  pukār  le
maiñ  le  rahā  huuñ  jā.eza  har  ek  lahar  kā
kyā  jaane  kab  ye  mujh  ko  samundar  pukār  le
sadiyoñ  ke  darmiyān  huuñ  maiñ  bhī  to  ik  sadī
ik  baar  mujh  ko  apnā  samajh  kar  pukār  le
maiñ  phir  rahā  huuñ  shahr  meñ  saḌkoñ  pe  ġhāliban
āvāz  de  ke  mujh  ko  mirā  ghar  pukār  le
shīshe  kī  tarah  vaqt  ke  hāthoñ  meñ  huuñ  hanūz
kab  jaane  hādsāt  kā  patthar  pukār  le
vo  lamha  jis  kī  zehn-e-'sabā'  ko  talāsh  hai
rone  ke  ehtimām  meñ  hañs  kar  pukār  le