Aleem Saba Navedi

nazil hua tha shahr mein kala azab ek

Aleem Saba Navedi

nāzil huā thā shahr meñ kaalā azaab ek
ġhārat-gar-e-nasīb thā ḳhāna-ḳharāb ek
sāñseñ sisaktī rah ga.iiñ dīvār-o-dar ke biich
barpā huā thā chhat pe nayā inqalāb ek
merā safar thā jism ke bāhar falak kī samt
utrā thā merī qabr pe jab āftāb ek
mere liye bahut thī ḳhizāñ-dīda raushnī
us kī pasand laakh mirā intiḳhāb ek
arz-o-samā se koī ta.alluq na rābta
raas aa gayā hai mujh ko safar lā-javāb ek
shahr-e-ġhazal meñ jauhar-e-nāyāb fan 'alīm'
haiñ saiñkaḌoñ janāb meñ ālī-janāb ek
Top Urdushayar.com