Saleem Shahid

meri thakan mere qasd-e-safar se zahir hai

Saleem Shahid

mirī thakan mire qasd-e-safar se zāhir hai
udaas shaam kā manzar sahar se zāhir hai
na koī shāḳh-e-ibārat na koī lafz kā phuul
ye ahd bāñjh hai qaht-e-hunar se zāhir hai
jo pūchhā kyā huiiñ shāḳheñ samar-ba-dast jo thiiñ
kahā ki dekh lo sab kuchh shajar se zāhir hai
faqat ye vahshat-e-iz.hār hai ilaaj nahīñ
ye bojh yuuñ nahīñ utregā sar se zāhir hai
maiñ apnī raakh meñ ḳhvāhish dabā.e baiThā huuñ
ye aag jal ke rahegī sharar se zāhir hai
vo umr-bhar kī asīrī milī tamannā ko
ġharīb mar ke hī niklegī ghar se zāhir hai
tū reza reza ta.alluq se ghar banā 'shāhid'
magar ye dasht to dīvār-o-dar se zāhir hai
Top Urdushayar.com