Saleem Shahid

mat puchh ki is paikar-e-KHush-rang mein kya hai

Saleem Shahid

mat pūchh ki is paikar-e-ḳhush-rañg meñ kyā hai
ik ret kā Tiila pas-e-dīvār-e-qabā hai
ye ḳhalq ibārat hai lab-e-goyā kī muhtāj
dekheñ to faqat daaġh hai boleñ to sadā hai
aatī hai sisakne kī dil-e-dasht se āvāz
shāyad ki rag-o-pai meñ koī ābla-pā hai
hai bojh tan-e-ḳhasta kā dīvār-e-nafas par
goyā ki mire ghar kā sutūñ mauj-e-havā hai
kuchh vahshat-e-iz.hār lahū shāḳh pe laa.ī
kuchh raas gul-e-zaḳhm ko ye āb-o-havā hai
ab aur koī nutq-o-zabāñ hoñ to kahūñ kuchh
is ḳhāna-e-dar-band meñ kyā hashr bapā hai
ab ijz-e-safar kī bhī malāmat hai mire sar
har raah mire sāmne āġhosh-kushā hai
phir tīrgī-e-shab meñ nazar aa.ī na.ī shakl
ab dekh ki kis ḳhvāb kā dar aañkh pe vā hai
Takrā ke siyāhī se palaT jaatī hai sūrat
'shāhid' dil-e-ā.īna meñ dīvār sī kyā hai
Top Urdushayar.com