chale  bazm-e-daurāñ  se  jab  zahr  pī  ke
baḌhe  hausle  aur  bhī  zindagī  ke
fasānoñ  se  merī  hī  āvārgī  ke
muayyan  hue  rāste  zindagī  ke
zamāne  ko  duuñ  kyā  ki  dāman  meñ  mere
faqat  chand  aañsū  haiñ  vo  bhī  kisī  ke
nigāh-e-karam  kī  zarūrat  nahīñ  hai
zarā  dekh  luuñ  be-sahāre  bhī  jī  ke
haiñ  'masrūr'  āñkheñ  tumhārī  jo  pur-nam
batāo  ye  aañsū  haiñ  ġham  yā  ḳhushī  ke