ghabrā.eñ  havādis  se  kyā  ham  jiine  ke  sahāre  nikleñge
Dūbegā  agar  ye  sūraj  bhī  to  chāñd  sitāre  nikleñge
andāz-e-zamāna  kahtā  hai  phir  mauj-e-havā  ruḳh  badlegī
añgāroñ  se  gulshan  phūTegā  shabnam  se  sharāre  nikleñge
firdaus-e-nazar  ke  dīvāne  tārīk  fazā  se  kyā  Darnā
tū  sham-e-nazar  ko  tez  to  kar  zulmat  se  nazāre  nikleñge
anjām-e-kashākash  hogā  kuchh  dekheñ  to  tamāshā  dīvāne
yā  ḳhaak  uḌegī  gardūñ  par  yā  farsh  pe  taare  nikleñge
'masrūr'  kareñ  ahl-e-sāhil  kuchh  fikr  na  himmat  vāloñ  kī
Dūbeñge  safīne  jitne  bhī  ik  din  vo  kināre  nikleñge