ruuh  afsurda  tabī.at  mirī  ġham-kosh  huī
zindagī  apne  hī  mātam  meñ  siyah-posh  huī
fikr-e-fardā  huī  yā  fikr-e-ġham-e-dosh  huī
terī  yaad  aa.ī  ki  har  baat  farāmosh  huī
sohbat-e-shaiḳh  huī  sohbat-e-mai-nosh  huī
josh  meñ  ruuh  na  phir  aa.ī  jo  mad.hosh  huī
zindagī  un  ke  fasānoñ  se  bhī  uktā  sī  ga.ī
jo  thī  sar-tā-ba-qadam  gosh  girāñ-gosh  huī
jaane  kyā  mahfil-e-parvāna  meñ  dekhā  us  ne
phir  zabāñ  khul  na  sakī  sham.a  jo  ḳhāmosh  huī