ik  junūñ  kahiye  use  jo  mire  sar  se  niklā
varna  matlab  na  koī  arz-e-hunar  se  niklā
koī  manzil  na  milī  paañv  jo  ghar  se  niklā
phir  safar  pesh  thā  jab  gard-e-safar  se  niklā
bach  ke  har-chand  zamāne  kī  nazar  se  niklā
sāmne  kū-e-malāmat  thā  jidhar  se  niklā
maiñ  bahut  duur  kahīñ  chhoḌ  chukā  thā  us  ko
qāfila  phir  mirī  hasrat  kā  kidhar  se  niklā
uTh  ke  us  bazm  se  aa  jaanā  kuchh  āsān  na  thā
ek  dīvār  se  niklā  huuñ  jo  dar  se  niklā
mai-kada  dekhā  to  yād-e-ġham-e-yārāñ  aa.ī
jaam  chhalkā  to  lahū  zaḳhm-e-jigar  se  niklā
bhiiḌ  ke  ḳhauf  se  phir  ghar  kī  taraf  lauT  aayā
ghar  se  jab  shahr  meñ  tanhā.ī  ke  Dar  se  niklā
paḌ  gayā  vaqt  to  sadiyoñ  ke  bharam  TuuT  ga.e
kaam  kuchh  shaam  se  niklā  na  sahar  se  niklā