Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

dard-e-jigar KHud apni dawa ho aisa bhi ho sakta hai

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

Meerut, Uttar pradesh, India

1935

dard-e-jigar ḳhud apnī davā ho aisā bhī ho saktā hai

yuuñ kitāb-e-zar meñ likhā ho aisā bhī ho saktā hai

hijr raat meñ sham-e-shabistāñ had se baḌh kar raushan thī

is hañgām meñ dil bhī jalā ho aisā bhī ho saktā hai

roz-e-azal jo ahd kiyā thā insāñ ne vo sach thā

bār-e-amānat uTh na sakā ho aisā bhī ho saktā hai

kahāñ nasheman dil banā.eñ uljhan bhī hai aur Dar bhī

ḳhud shikasta shāḳh-e-vafā ho aisā bhī ho saktā hai

harf-e-vafā koī vaq.at duniyā nazroñ meñ nahīñ

harf-e-vafā jhuuT kahā ho aisā bhī ho saktā hai

husn-o-ishq laag meñ āḳhir kis ko mujrim Thahrā.eñ

dil dāman chaak huā ho aisā bhī ho saktā hai

bahr-etamannā se 'rāhī' aa.ī hai sadā-e-ġharqābī

dil safīna Duub rahā ho aisā bhī ho saktā hai

Top Urdushayar.com