Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

main aks-gar-e-jalwa-e-jaanana bana hun

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

Meerut, Uttar pradesh, India

1935

maiñ aks-gar-e-jalva-e-jānāna banā huuñ

ḳhush huuñ ki mohabbat jilau-ḳhāna banā huuñ

dil-soz nahīñ ahl-e-chaman ātish-e-gul se

ai bād-e-sabā maiñ yūñhī dīvāna banā huuñ

maḳhfī koī dīvār hai shāyad mire andar

maiñ apnoñ meñ rahte hue begāna banā huuñ

raushan harm-e-jāñ meñ hai ik sham-e-tamannā

dil pahle jalāyā hai to parvāna banā huuñ

lāzim thā ki duniyā ko har ik rañg meñ dekhūñ

dīvāna banā huuñ kabhī farzāna banā huuñ

kyuuñ merā nasheman hai samundar tahoñ meñ

aisā to nahīñ hai ki maiñ dariyā na banā huuñ

shohrat mirī raahe thī jahāñ dīda-varī

is kār-gah-e-shauq meñ afsāna banā huuñ

Top Urdushayar.com