ye  ik  shajar  ki  jis  pe  na  kāñTā  na  phuul  hai
saa.e  meñ  us  ke  baiTh  ke  ronā  fuzūl  hai
rātoñ  se  raushnī  kī  talab  haa.e  sādgī
ḳhvāboñ  meñ  us  kī  diid  kī  ḳhū  kaisī  bhuul  hai
hai  un  ke  dam-qadam  hī  se  kuchh  ābrū-e-zīst
dāman  meñ  jin  ke  dasht-e-tamannā  kī  dhuul  hai
sūraj  kā  qahr  sirf  barahna  saroñ  pe  hai
pūchho  havas-parast  se  vo  kyuuñ  malūl  hai
aao  havā  ke  haath  kī  talvār  chuum  leñ
ab  buz-diloñ  kī  fauj  se  laḌnā  fuzūl  hai