jo  raah  chalnā  hai  ḳhud  hī  chun  lo  yahāñ  koī  rāhbar  nahīñ  hai
yahī  haqīqat  hai  baat  maano  tumheñ  abhī  kuchh  ḳhabar  nahīñ  hai
kisī  ko  sāda-dilī  kā  badla  milā  hī  kab  hai  jo  ab  milegā
vafā  bhī  duniyā  meñ  ek  shai  hai  magar  vo  ab  mo'atabar  nahīñ  hai
na  jaane  kab  ruḳh  havā  badal  de  bhaḌak  uTheñ  phir  vo  bujhte  sho.ale
hirās  hai  vo  fazā  pe  taarī  kahīñ  bhī  mahfūz  ghar  nahīñ  hai
jo  chāhte  haiñ  chaman  ko  bāTeñ  vo  kaise  bāTeñge  fasl-e-gulshan
bahegā  ġhunchoñ  kā  ḳhuun  kitnā  unheñ  to  is  kā  bhī  Dar  nahīñ  hai
jo  pusht  pe  vaar  kar  rahe  haiñ  kaho  ki  ab  sāmne  se  aa.eñ
jise  vo  ġhāfil  samajh  rahe  haiñ  vo  is  qadar  be-ḳhabar  nahīñ  hai
na  kāmyābī  milegī  tum  ko  hameñ  miTāne  kī  koshishoñ  meñ
jhukegā  jo  zālimoñ  ke  aage  vo  haq-parastoñ  kā  sar  nahīñ  hai
jo  bāñTte  haiñ  matā-e-hastī  unheñ  ye  'afshāñ  zarā  batā  do
jo  maiñ  ne  māñgā  hai  haq  hai  merā  mujhe  ye  kahne  meñ  Dar  nahīñ  hai