tilism  ḳhatm  chalo  āh-e-be-asar  kā  huā
vo  dekho  jism  barhana  har  ik  shajar  kā  huā
sunā.ūñ  kaise  ki  sūraj  kī  zad  meñ  haiñ  sab  log
jo  haal  raat  ko  parchhā.iyoñ  ke  ghar  kā  huā
sadā  ke  saa.e  meñ  sannāToñ  ko  panāh  milī
ajab  ki  shahr  meñ  charchā  na  is  ḳhabar  kā  huā
ḳhalā  kī  dhund  hī  āñkhoñ  pe  mehrbān  rahī
harīf  koī  ufuq  kab  mirī  nazar  kā  huā
maiñ  sochtā  huuñ  magar  yaad  kuchh  nahīñ  aatā
ki  iḳhtitām  kahāñ  ḳhvāb  ke  safar  kā  huā