ye  kyā  jagah  hai  dosto  ye  kaun  sā  dayār  hai
had-e-nigāh  tak  jahāñ  ġhubār  hī  ġhubār  hai
har  ek  jism  ruuh  ke  azaab  se  niDhāl  hai
har  ek  aañkh  shabnamī  har  ek  dil  figār  hai
hameñ  to  apne  dil  kī  dhaḌkanoñ  pe  bhī  yaqīñ  nahīñ
ḳhoshā  vo  log  jin  ko  dūsroñ  pe  e'tibār  hai
na  jis  kā  naam  hai  koī  na  jis  kī  shakl  hai  koī
ik  aisī  shai  kā  kyuuñ  hameñ  azal  se  intizār  hai