hazār  baar  miTī  aur  pā.emāl  huī  hai
hamārī  zindagī  tab  jā  ke  be-misāl  huī  hai
isī  sabab  se  to  parchhā.īñ  apne  saath  nahīñ  hai
sa.ūbat-e-safar-e-shauq  se  niDhāl  huī  hai
sukūn  phir  bhī  to  vahshat-sarā-e-dil  meñ  nahīñ  hai
nigāh-e-yār  agarche  sharīk-e-hāl  huī  hai
ḳhushī  ke  lamhe  to  jūñ-tūñ  guzar  ga.e  haiñ  yahāñ  par
bas  ek  sā.at-e-ġham  kāTnī  muhāl  huī  hai
lakīr  nuur  kī  jo  āsmān-e-dil  pe  banī  hai
añdherī  raat  kā  hamla  huā  to  Dhaal  huī  hai