badlī  huī  duniyā  kī  nazar  dekh  rahe  haiñ
phaltā  huā  nafrat  kā  shajar  dekh  rahe  haiñ
bastī  ke  sulagte  hue  ghar  dekh  rahe  haiñ
dil-doz  manāzir  haiñ  magar  dekh  rahe  haiñ
vo  kar  bhī  chuke  ġhair  se  iqrār-e-mohabbat
ham  baiThe  duāoñ  meñ  asar  dekh  rahe  haiñ
hotī  hai  har  ik  phuul  se  gulzār  kī  zīnat
nādān  haiñ  jo  nasl-e-shajar  dekh  rahe  haiñ
ik  roz  na  jal  jaa.e  kahīñ  un  kā  nasheman
jo  duur  khaḌe  raqs-e-sharar  dekh  rahe  haiñ
manzil  kī  jinheñ  dhun  thī  unheñ  mil  ga.ī  manzil
jo  baiTh  rahe  gard-e-safar  dekh  rahe  haiñ
'afshāñ'  mirī  āñkhoñ  meñ  basī  rahtī  hai  har-dam
vo  shakl  jise  ahl-e-nazar  dekh  rahe  haiñ