havā  kā  zor  hī  kaafī  bahāna  hotā  hai
agar  charāġh  kisī  ko  jalānā  hotā  hai
zabānī  da.ave  bahut  log  karte  rahte  haiñ
junūñ  ke  kaam  ko  kar  ke  dikhānā  hotā  hai
hamāre  shahr  meñ  ye  kaun  ajnabī  aayā
ki  roz  ḳhvāb  safar  pe  ravāna  hotā  hai
ki  tū  bhī  yaad  nahīñ  aatā  ye  to  honā  thā
ga.e  dinoñ  ko  sabhī  ko  bhulānā  hotā  hai
isī  umiid  pe  ham  aaj  tak  bhaTakte  haiñ
har  ek  shaḳhs  kā  koī  Thikāna  hotā  hai
hameñ  ik  aur  bharī  bazm  yaad  aatī  hai
kisī  kī  bazm  meñ  jab  muskurānā  hotā  hai