Fareed Ishrati

jala ke daman-e-hasti ka tar tar uTha

Fareed Ishrati

jalā ke dāman-e-hastī kā taar taar uThā
kabhī jo nāla-e-ġham dil se sho.ala-bār uThā
ḳhyāl-o-fikr-o-tamannā kā ḳhuun chhup na sakā
zabāñ ḳhamosh thī lekin lahū pukār uThā
falak pe jab bhī haqā.eq kī surḳhiyāñ ubhrīñ
zamīñ se kohna rivāyāt kā ġhubār uThā
ravāñ-davāñ hai rag-e-sañg meñ lahū kī tarah
vo zindagī kā talātum jo baar baar uThā
rah-e-hayāt meñ jab Dagmagā.e mere qadam
mirā hī naqsh-e-kaf-e-pā mujhe pukār uThā
fareb-e-vāda-e-fardā kā zikr kyā kiije
vo mo'atabar hī the kab jin kā e'tibār uThā
'farīd' ahl-e-gulistāñ bhī hosh kho baiThe
kuchh is adā se hijāb-e-ruḳh-e-bahār uThā
Top Urdushayar.com