jalā  ke  dāman-e-hastī  kā  taar  taar  uThā
kabhī  jo  nāla-e-ġham  dil  se  sho.ala-bār  uThā
ḳhyāl-o-fikr-o-tamannā  kā  ḳhuun  chhup  na  sakā
zabāñ  ḳhamosh  thī  lekin  lahū  pukār  uThā
falak  pe  jab  bhī  haqā.eq  kī  surḳhiyāñ  ubhrīñ
zamīñ  se  kohna  rivāyāt  kā  ġhubār  uThā
ravāñ-davāñ  hai  rag-e-sañg  meñ  lahū  kī  tarah
vo  zindagī  kā  talātum  jo  baar  baar  uThā
rah-e-hayāt  meñ  jab  Dagmagā.e  mere  qadam
mirā  hī  naqsh-e-kaf-e-pā  mujhe  pukār  uThā
fareb-e-vāda-e-fardā  kā  zikr  kyā  kiije
vo  mo'atabar  hī  the  kab  jin  kā  e'tibār  uThā
'farīd'  ahl-e-gulistāñ  bhī  hosh  kho  baiThe
kuchh  is  adā  se  hijāb-e-ruḳh-e-bahār  uThā