Arsh Malsiyani

jis gham se dil ko rahat ho us gham ka mudawa kya mani

Arsh Malsiyani

Malsiyan, Punjab, India

1908-1979

jis ġham se dil ko rāhat ho us ġham mudāvā kyā ma.anī

jab fitrat tūfānī Thahrī sāhil tamannā kyā ma.anī

ishrat meñ rañj āmezish rāhat meñ alam ālā.ish

jab duniyā aisī duniyā hai phir duniyā duniyā kyā ma.anī

ḳhud shaiḳh-o-barahman mujrim haiñ ik kaam se donoñ na sake

saaqī buḳhl-pasandī par saaqī shikvā kyā ma.anī

jalvoñ to ye dastūr nahīñ pardoñ se kabhī bāhar aa.eñ

ai dīda-e-be-taufīq tirā ye zauq-e-tamāshā kyā ma.anī

iḳhlās-o-vafā ke sajdoñ jis dar par daad nahīñ miltī

ai ġhairat-e-dil ai azm-e-ḳhudī us dar par sajda kyā ma.anī

ai sāhib-e-naqd-o-nazar maanā insāñ nizām nahīñ achchhā

is islāh ke parde meñ allāh se jhagḌā kyā ma.anī

har-lahza fuzūñ ho josh-e-amal ye farz hai farz raah pe chal

tadbīr ye ronā kaisā taqdīr shikvā kyā ma.anī

maiḳhāne meñ ai vaa.iz ab talqīn ke kuchh uslūb badal

allāh banda banñe ko jannat sahārā kyā ma.anī

iz.hār-e-vafā lāzim sahī ai 'arsh' magar fariyādeñ kyuuñ

vo baat jo sab par zāhir hai us baat charchā kyā ma.anī

Top Urdushayar.com