Arsh Malsiyani

yaqin-e-mohkam ka hai sahaara yahi amal kargar hai pyare

Arsh Malsiyani

Malsiyan, Punjab, India

1908-1979

yaqīn-e-mohkam hai sahārā yahī amal kārgar hai pyāre

ilāj-e-darj-e-nihāñ yahī hai isī davā meñ asar hai pyāre

tirī nigāhoñ meñ haiñ samā.e jamāl-e-hastī jalāl-e-ma.anī

na dekh aur nazar se tirī nazar mo'atabar hai pyāre

nahīñ tirī raah rāh-e-mushkil hai rahbar-e-rāh ḳhud tirā dil

tire qadam meñ hai terī manzil tavīl be-shak safar hai pyāre

na hai hasīnoñ meñ kaj-adā.ī na zindagī meñ koī burā.ī

hai nekiyoñ ghar ḳhudā.ī agar ḳhud ḳhud-nigar hai pyāre

tire dil meñ hai jalva-farmā butoñ sūrat ḳhudā jaadū

yahī hai dair aur yahī hai ka.aba yahī mohabbat ghar hai pyāre

kahāñ chhupegā vo māh-paikar ho na māyūs-e-dīd dam-bhar

hoñ laakh parde ruḳh-e-hasīñ par tirī nazar bhī nazar hai pyāre

haiñ tere ash.ār 'arsh' aise rumūz hoñ zindagī ke jaise

tujhe na deñ log daad kaise baḌā nukta-var hai pyāre

Top Urdushayar.com