Arsh Malsiyani

ai yas mera ghar tera maskan to nahin hai

Arsh Malsiyani

Malsiyan, Punjab, India

1908-1979
ai yaas mirā ghar tirā maskan to nahīñ hai
dil hai ye tamannāoñ kā madfan to nahīñ hai
kyā baat hai gulzār hai kyuuñ barq se mahfūz
be-barg mirī shāḳh-e-nasheman to nahīñ hai
haañ dīda-e-tahqīq se ai zauq-e-safar dekh
rahbar jise samjhā hai vo rahzan to nahīñ hai
taklīf asīrī kī shikāyat na kar ai dil
ye kunj-e-qafas kunj-e-nasheman to nahīñ hai
aao ki tamannāoñ meñ hai tāb-e-nazāra
ye dil hai mirā vādī-e-aiman to nahīñ hai
chhū kar hī jise ātish-e-dozaḳh huī ThanDī
dāman ye kisī riñd kā dāman to nahīñ hai
manzūr hai kuchh jāñch tire azm kī us ko
dar-asl zamāna tirā dushman to nahīñ hai
be-sa.ī-e-amal ḳhaak hai insān ko jiinā
ye razm-e-gah-e-zīst hai madfan to nahīñ hai
sayyād ijāzat ki zarā dekh to aa.uuñ
jaltā hai jo vo merā nasheman to nahīñ hai
dekho to rahā dasht-navardī pe jo nāzāñ
vo 'arsh' ravāñ jānib-e-gulshan to nahīñ hai
Top Urdushayar.com