Jayant Parmar

lafzon ki taswir banati dil mein qaid hui

Jayant Parmar

Ahmedabad, Gujarat, India

1955
lafzoñ kī tasvīr banātī dil meñ qaid huī
ek samay vo achchhī laḌkī dil meñ qaid huī
kore kāġhaz par kheñchī thī maiñ ne ik tasvīr
jañgal jañgal uḌtī titlī dil meñ qaid huī
us ke baad vahī tasvīreñ sab ko dikhātā huuñ
ḳhvāboñ kī vo duniyā saarī dil meñ qaid huī
dil ko dukhātī hai phir bhī kyuuñ achchhī lagtī hai
yādoñ kī ye shaam suhānī dil meñ qaid huī
kaun sā taarā us kā ghar hai soch rahā thā maiñ
raat parī āñgan meñ utrī dil meñ qaid huī
āvāra bādal the ham bhī kyā karte āḳhir
ek kiran ghar meñ le aa.ī dil meñ qaid huī
Top Urdushayar.com