āñkhoñ  meñ  vo  aa.eñ  to  hañsāte  haiñ  mujhe  ḳhvāb
har  roz  na.e  baaġh  dikhāte  haiñ  mujhe  ḳhvāb
ab  pyaar  ke  mausam  kā  hai  āġhāz  yaqīnan
naġhmāt  na.e  ḳhuub  sunāte  haiñ  mujhe  ḳhvāb
ho  niiñd  pe  chhāyā  huā  jab  fikr  kā  bādal
ik  sair  na.ī  samt  karāte  haiñ  mujhe  ḳhvāb
us  ziist  kī  talḳhī  se  to  achchhī  hai  mirī  niiñd
titlī  kabhī  phūloñ  se  milāte  haiñ  mujhe  ḳhvāb
ik  dard  kā  ehsās  jagāne  ke  liye  hī
phūloñ  kī  tarah  ḳhaar  ke  aate  haiñ  mujhe  ḳhvāb
milte  haiñ  dukhāne  ko  mirā  dil  hī  ka.ī  log
phir  dard  ke  sahrā  meñ  sulāte  haiñ  mujhe  ḳhvāb
vo  log  'sabīla'  ke  jo  bichhḌe  haiñ  safar  meñ
aksar  unhīñ  kī  yaad  dilāte  haiñ  mujhe  ḳhvāb