Sabeela Inam Siddiqui

baad-e-sarsar bhi qurbat ki chalti rahe din nikalta rahe sham Dhalti rahe

Sabeela Inam Siddiqui

Karachi, Sindh, Pakistan

bād-e-sarsar bhī qurbat kī chaltī rahe din nikaltā rahe shaam Dhaltī rahe
zulf hāthoñ se tere sañvartī rahe din nikaltā rahe shaam Dhaltī rahe
terī chāhat gulāboñ kī ḳhushbū bane mere dīvār-o-dar meñ kuchh aisī base
terī mahkār kamre se aatī rahe din nikaltā rahe shaam Dhaltī rahe
tere ehsās kī tan pe chādar liye tere hamrāh raqsāñ meñ aise rahūñ
pyaar kī mujh pe badlī barastī rahe din nikaltā rahe shaam Dhaltī rahe
ruuh se ruuh kā rabt aisā bane jaise hāthoñ meñ tere mirā haath ho
phir mulāqāt ḳhvāboñ meñ hotī rahe din nikaltā rahe shaam Dhaltī rahe
merī ġhazloñ meñ terā hī mazmūn ho merī nazmoñ meñ to mujh se bāteñ kare
yuuñ bayāz-e-tamannā bhī bhartī rahe din nikaltā rahe shaam Dhaltī rahe
pyaar ke saat rañgoñ kī qaus-e-quzah le ke aa.e 'sabīla' vo milne kabhī
zindagī phir vahīñ ruk ke hañstī rahe din nikaltā rahe shaam Dhaltī rahe
Top Urdushayar.com