nayā  ab  silsila  joḌā  na  jaa.e
purānoñ  ko  magar  toḌā  na  jaa.e
mujhe  jo  chhoḌ  jaanā  chāhtā  hai
agar  jaa.e  to  phir  thoḌā  na  jaa.e
bahut  nuqsān  kartī  hai  ḳhudī  kā
anā  kā  ruḳh  agar  moḌā  na  jaa.e
tamannā  āsmānoñ  ke  safar  kī
magar  āñgan  ki  bas  chhoḌā  na  jaa.e