donoñ  jānib  qaid-shuda  is  ḳhush-fahmī  meñ  rahte  haiñ
sarhad  ke  us  paar  parinde  āzādī  meñ  rahte  haiñ
shaam  talak  ādāb  bajāte  gardan  dukhne  lagtī  hai
payāde  ho  kar  shāhoñ  vaalī  ābādī  meñ  rahte  haiñ
gar  ro.e  to  āñkhoñ  ke  sab  bāshinde  bah  jā.eñge
haa.e  shikasta  ḳhvāb  hamāre  is  bastī  meñ  rahte  haiñ
zīna-dar-zīna  jab  terī  yaad  utar  kar  aatī  hai
muñh  baa.e  ash.ār  hamāre  hairānī  meñ  rahte  haiñ
us  kī  bak-bak  ghar  se  chal  kar  chāñd  talak  ho  aatī  haiñ
aur  ham  gum  us  ke  hoñToñ  kī  turpā.ī  meñ  rahte  haiñ
chaar  kitābeñ  saath  nahīñ  aur  sau  ġhazleñ  kah  bhī  mārīñ
ab  ke  likhne  vaale  jaane  kis  jaldī  meñ  rahte  haiñ
aadhī  raat  ġhazal  kahne  kā  shauq  kise  hai  'saurabh'-jī
bas  itnī  sī  baat  hai  tab  ham  tanhā.ī  meñ  rahte  haiñ