jo  ham  terī  āñkhoñ  ke  taare  hue  haiñ
ka.ī  ratjagoñ  ke  sañvāre  hue  haiñ
barābar  pe  chhūTī  mohabbat  kī  baazī
na  jiite  hue  haiñ  na  haare  hue  haiñ
unhīñ  kī  nazar  meñ  utarnā  hai  ham  ko
jo  ham  ko  nazar  se  utāre  hue  haiñ
qalam  yaad  coffē  bharam  chand  panne
bas  itne  meñ  bhī  din  guzāre  hue  haiñ
ġhazal  kā  hunar  sirf  hāsil  ġhamoñ  kā
ye  ash.ār  ashkoñ  se  khāre  hue  haiñ