tumhārī  yaad  ke  manzar  purāne  gher  lete  haiñ
na  jaane  DhūñDh  kar  kaise  kahāñ  se  gher  lete  haiñ
jo  ham  ne  un  dinoñ  bas  yuuñ  hī  pokhar  meñ  uchhāle  the
lagūñ  jab  Dūbne  to  vo  hī  tinke  gher  lete  haiñ
maiñ  aisī  shohratoñ  kī  soch  se  bhī  ḳhauf  khātā  huuñ
jidhar  niklo  udhar  aḳhbār  vaale  gher  lete  haiñ
ḳhudā  jaane  ḳhudā  ne  kyuuñ  mujhe  itnā  navāzā  hai
maiñ  jab  bhī  laḌkhaḌātā  huuñ  sahāre  gher  lete  haiñ
ye  tāqat  aur  ye  shohrat  samay  kā  pher  hai  pyāre
galī  apnī  ho  to  hāthī  ko  kutte  gher  lete  haiñ
ye  mere  dost  bhī  kam-baḳht  rone  tak  nahīñ  dete
zarā  sā  aañkh  kyā  bhīgī  kamīne  gher  lete  haiñ