terī  daulat  rah  jā.egī  tere  ghar  chaubāroñ  tak
mere  akhshar  sair  kareñge  sūraj  chāñd  sitāroñ  tak
baat  kafan  kī  niklī  thī  par  raste  meñ  nīlām  huī
rañg-birañgī  chunarī  ho  ga.ī  jab  pahuñchī  aḳhbāroñ  tak
jis  ko  jaisā  rog  diyā  hai  us  kā  vaisā  chāra-gar
bīmāroñ  tak  ved-jī  pahuñche  shā.er  ishq  ke  māroñ  tak
mai-ḳhāne  meñ  aur  to  kyā  thā  ham-zaḳhmoñ  kī  mahfil  thī
bechāroñ  se  shurūa  huī  thī  ḳhatm  huī  bechāroñ  tak
jamhūrī  tahzīb  yahī  hai  sabkī  apnī  had-bandī
jantā  kī  had  ek  mohar  tak  netāoñ  kī  na.aroñ  tak