mirī  āñkhoñ  se  hijrat  kā  vo  manzar  kyuuñ  nahīñ  jaatā
bichhaḌ  kar  bhī  bichhaḌ  jaane  kā  ye  Dar  kyuuñ  nahīñ  jaatā
agar  ye  zaḳhm  bharnā  hai  to  phir  bhar  kyuuñ  nahīñ  jaatā
agar  ye  jān-levā  hai  to  maiñ  mar  kyuuñ  nahīñ  jaatā
agar  tū  dost  hai  to  phir  ye  ḳhanjar  kyuuñ  hai  hāthoñ  meñ
agar  dushman  hai  to  āḳhir  mirā  sar  kyuuñ  nahīñ  jaatā
batā.ūñ  kis  havāle  se  unheñ  bairāg  kā  matlab
jo  taare  pūchhte  haiñ  raat  ko  ghar  kyuuñ  nahīñ  jaatā
zarā  fursat  mile  qismat  kī  chausar  se  to  sochūñgā
ki  ḳhvāhish  aur  hāsil  kā  ye  antar  kyuuñ  nahīñ  jaatā
mire  saare  raqīboñ  ne  zamīneñ  chhoḌ  diiñ  kab  kī
magar  ash.ār  se  mere  vo  tevar  kyuuñ  nahīñ  jaatā
mujhe  bechain  karte  haiñ  ye  dil  ke  an-ginat  dhabbe
jo  jaatā  hai  vo  yādoñ  ko  miTā  kar  kyuuñ  nahīñ  jaatā