Saeed Khan

kya chale kucha-e-jaanan ki hawa mere sath

Saeed Khan

Haripur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1966

kyā chale kūcha-e-jānāñ havā mere saath

roz aa lagtā hai ik dasht nayā mere saath

ek zamāna hai yahāñ dast-o-garebāñ mujh se

ne kyā dāman-e-dil bāñdh liyā mere saath

ghar ke āñgan se parinde bhī pare rahte haiñ

jab se rahtā hai koī dost ḳhafā mere saath

roz-e-avval se huuñ maiñ sabz-e-mohabbat asiir

sāya-afgan hai daraḳhtoñ duā mere saath

kuchh mirā ahd bhī qātil hai to kuchh bahr-e-junūñ

zindagī rakhtī hai ik hashr bapā mere saath

dar-ba-dar ho ke bhī haTtā nahīñ raste se faqīr

mo.ajize kartī hai vo gardish-e-pā mere saath

baat kartā hai sahīfoñ meñ koī aur 'sa.īd'

pesh aatā hai koī aur ḳhudā mere saath

Top Urdushayar.com