ḳhamoshī  meñ  chhupe  lafzoñ  ke  huliye  yaad  ā.eñge
tirī  āñkhoñ  ke  be-āvāz  lahje  yaad  ā.eñge
tasavvur  Thokareñ  khāte  hue  qadmoñ  se  uljhegā
ubhartī  Dūbtī  manzil  ke  raste  yaad  ā.eñge
mujhe  ma.alūm  hai  dam  toḌ  degī  āgahī  merī
jo  lamhe  bhūlne  ke  haiñ  vo  lamhe  yaad  ā.eñge
kabhī  apne  akele-pan  ke  baare  meñ  jo  sochoge
tumheñ  TuuTe  hue  kuchh  ḳhaas  rishte  yaad  ā.eñge
kuchh  aisā  ho  ki  tasvīroñ  meñ  jal  jaa.e  tasavvur  bhī
mohabbat  yaad  aa.egī  to  shikve  yaad  ā.eñge
jo  terā  jism  chhū  kar  merī  sāñsoñ  meñ  samāte  the
har  aahaT  par  vahī  ḳhushbū  ke  jhoñke  yaad  ā.eñge
bhale  aurāq-e-māzī  chaaT  jaa.e  vaqt  kī  dīmak
jo  qisse  yaad  aane  haiñ  vo  qisse  yaad  ā.eñge
jahāñ  tum  se  bichhaḌne  kā  sabab  āñkheñ  bhigo.eñge
vahīñ  apnī  mohabbat  ke  vasīle  yaad  ā.eñge
'salīm'  āḳhir  ga.e  vaqtoñ  kī  qabreñ  khodiye  kyūñ-kar
dil-e-māsūm  ko  apne  khilaune  yaad  ā.eñge