fikr  o  ehsās  ke  tapte  hue  manzar  tak  aa
mere  lafzoñ  meñ  utar  kar  mire  andar  tak  aa
kahīñ  aisā  na  ho  ruk  jaa.eñ  qalam  kī  sāñseñ
ai  mirī  jān-e-ġhazal  apne  suḳhan-var  tak  aa
varna  ḳhvāboñ  kī  tapish  tujh  ko  jalā  Dālegī
merī  jaagī  huī  nīndoñ  ke  samundar  tak  aa
sard  kamre  kī  sulagtī  huī  tanhā.ī  meñ
merī  sāñsoñ  se  nikal  kar  mire  bistar  tak  aa
dar-o-dīvār  mo.attar  hoñ  tirī  ḳhushbū  se
dil  meñ  mat  aa  magar  ik  baar  mire  ghar  tak  aa
us  se  kahnā  hai  'salīm'  aglī  mulāqāt  meñ  ye
ḳhvāb  ban  kar  kabhī  āñkhoñ  ke  muqaddar  tak  aa