aaj  dīvāne  kā  zauq-e-dīd  puurā  ho  gayā
tujh  ko  dekhā  aur  us  ke  ba.ad  andhā  ho  gayā
dhuup  ke  hāthoñ  pe  bai.at  kar  chukī  haiñ  Tahniyāñ
rañg  saare  sabz  pattoñ  kā  sunahrā  ho  gayā
kaan  dhartā  hī  nahīñ  koī  mirī  āvāz  par
aisā  lagtā  hai  ki  saarā  shahr  murda  ho  gayā
sāya-e-dīvār  ko  oḌhe  hue  the  sab  ke  sab
gir  ga.ī  dīvār  ghar  kā  ghar  barhana  ho  gayā
jism  o  jaañ  par  sozish-e-ġham  kā  huā  yaksāñ  asar
sūrateñ  sañvlā  ga.iiñ  jab  dard  gahrā  ho  gayā
ḳhvāhishātī  irtiqā  meñ  dab  ga.ī  hai  shaḳhsiyat
nafs  moTā  ho  gayā  aur  shaḳhs  dublā  ho  gayā
zindagī  kī  yātrā  meñ  saath  kyā  chhūTā  tirā
muḳhtasar  sā  rāsta  pal-bhar  meñ  lambā  ho  gayā
'ġhālib'-e-dānā  se  pūchho  ishq  meñ  paḌ  kar  salīm
ek  ma.aqūl  aadmī  kaise  nikammā  ho  gayā