ek  hī  zinda  bachā  hai  ye  nirālā  pāgal
jhuuT  ke  shahr  meñ  sach  bolne  vaalā  pāgal
hāthoñ  meñ  phuul  liye  aa.e  haiñ  sab  log  jahāñ
le  ke  aayā  hai  vahāñ  paañv  kā  chhālā  pāgal
us  kī  āñkhoñ  meñ  ajab  nuur  thā  dānā.ī  kā
tum  ne  mahfil  se  jise  kah  ke  nikālā  pāgal
dhuup  hai  phailī  huī  sharq  se  tā-ġharb  magar
bāñTtā  phirtā  hai  duniyā  ko  ujālā  pāgal
jis  meñ  rakkhe  huuñ  mohabbat  ke  ḳhazāne  bhar  kar
is  tijorī  ko  lagāte  nahīñ  taalā  pāgal
kaun  samjhā.e  tirī  sar-phirī  kashtī  ko  'salīm'
ḳhūnīñ  dariyā  se  paḌā  hai  tirā  paalā  pāgal